Faiz Ahmed Faiz
tareek rahon main maray gaye!!
tere honton kay phholoon ki chahat main hum
daar ki khushk tehni pe waray gaye
tere hathon ki shamo`on ki hasrat main hum
Neem tareek rahon main maaray gaye
sooliyoun per hamaray labon say paray
terey honto ke lali lapakti rehi
teri zulfon ke masti barasti rehi
terey hathon ke chandi damakti rehi
jub ghuli teri rahoon may sham'e sitam
hmm chalay aaey laey jahan tuk qadam
lub pay hurf'e ghazal, dil may qindeel'e ghum
apna ghum tha gawahi terey husn ke
dekh qaim rehay iss gawahi pey hum
hum jo tareek rahon may maray gaey
narsai agar apni taqdeer thee, teri ulfat bhi to apni he tadbeer the
kiss ko shikwa hay gar shauq k silsilay
hijr ke qatalgahon say sub ja milay
qatal gahon say chun ker hamaray alam
aur niklain gay usshaq k qaflay
jin ke rah'e talab say hamaray qadm
mukhtasir ker chalay dard k faaslay
ker chalay jinn ke khatir jahan geer hum
jaan ganwa ker teri dilbari ka bharam
hum jo tareek rahon mai maray gaey.
No comments:
Post a Comment