Showing posts with label faiz. Show all posts
Showing posts with label faiz. Show all posts

Monday, January 7, 2008

Urdu Poetry


Faiz Ahmed Faiz

tareek rahon main maray gaye!!

tere honton kay phholoon ki chahat main hum
daar ki khushk tehni pe waray gaye
tere hathon ki shamo`on ki hasrat main hum
Neem tareek rahon main maaray gaye
sooliyoun per hamaray labon say paray
terey honto ke lali lapakti rehi
teri zulfon ke masti barasti rehi
terey hathon ke chandi damakti rehi
jub ghuli teri rahoon may sham'e sitam
hmm chalay aaey laey jahan tuk qadam
lub pay hurf'e ghazal, dil may qindeel'e ghum
apna ghum tha gawahi terey husn ke
dekh qaim rehay iss gawahi pey hum
hum jo tareek rahon may maray gaey
narsai agar apni taqdeer thee, teri ulfat bhi to apni he tadbeer the
kiss ko shikwa hay gar shauq k silsilay
hijr ke qatalgahon say sub ja milay
qatal gahon say chun ker hamaray alam
aur niklain gay usshaq k qaflay
jin ke rah'e talab say hamaray qadm
mukhtasir ker chalay dard k faaslay
ker chalay jinn ke khatir jahan geer hum
jaan ganwa ker teri dilbari ka bharam

hum jo tareek rahon mai maray gaey.

Thursday, December 27, 2007

Faiz Ahmed Faiz

moti ho keh sheesha, jaam keh dur
jo toot gaya, so toot gaya
kab ashko.n say jur sakta hai
jo toot gaya, so choot gaya

tum nahaq tukray chun chun kar
daman mai.n chupaye baithay ho
sheesho.n ka maseeha koi nahi
kiya aas lagaye baithay ho

shayad keh inhi.n tukro.n mai.n kahi.n
woh saghir-e-dil hai jis mai.n kabhi
sad naz say utara karti thi
sehbay-e-gham-e-jana.n ki pari

phir duniya walo.n nay tum say
yeh saghar lay kar phor diya
jo maiy thi, baha di mitti mai.n
mehma.n ka shehpar tor diya

yeh rangeen rezay hai.n shayad
un shokh bilori.n sapno.n kay
tum mast jawani mai.n jin say
khalwat ko sajya kartay thay

nadari, daftar bhook aur gham
in sapno.n say takratey rahey
be reham tha chomukh pathrao
yeh kaanch kay dhanchay kiya kartay

ya shayad in zarro.n mai.n kahi.n
moti hai tumhari izzat ka
woh jis say tumharay ijz par
shamshad qadro.n nay raksh kiya

is mal ki dhun mai.n phirtay thay
tajir bhi buhat, rehzun bhi kai
hai chor nagar, yaa.n muflis ki
gar jan bachi tou aan gai

yeh saghar sheeshay laal-o-guhr
salim hoo to qeemat patay hai.n
yu.n tukray tukray hoo to faqt
chubtay hai.n, lahoo rulwatay hai.n

tum nahaq tukray chun chun kar
daman mai.n chupaye baithay ho
sheesho.n ka maseeha koi nahi
kia aas lagaye baithay ho

yadoo.n kay garebano.n kay rafo
par dil ki guzr kab hoti hai
ik bakhia udhaira, aik siya
yu.n umr basr kab hoti hai

is kar geh hasti mai.n jaha.n
yeh saghar sheeshay dhaltay hai.n
har shay ka badal mil sakta hai
sub daman pur ho saktay hai.n

jo hath barhay yawar hai yeha.n
jo aankh uthay, wo bakhtawar
ya.n dhan dolat ka ant nahi
ho.n ghat mai.n lakh daku magar

kab loot jhapat say hasti ki
dukanai.n khali hoti hai.n
ya.n parbat parbat heeray hai.n
ya.n sagar sagar moti hai.n

kuch log hai.n jo is daulat par
parday lutkaye phirtay hai.n
har parbat ko, har sagar ko
neelam charhaye phirtay hai.n

kuch wo bhi hai.n jo lar bhar kar
yeh parday noch giratay hai.n
hasti ki uthai geero.n ki
har chal uljhaye jatey hai.n

in dono.n mai.n run parta hai
nit basti basti, nagar nagar
har basti ghar kay seenay mai.n
har chalti rah kay mathay par

yeh kalak bhartay phirtay hai.n
woh jot lagatay phirtay hai.n
yeh aag lagatay phirtay hai.n
woh aag bujhatay phirtay hai.n

sab saghar sheeshy, laal-o-guhr
is bazi mai.n bid jatay hai.n
utho sab khali hatho.n
us ran say bulawey atay hai.n